; Damaged Think Tank: Safar Jindgi ka

Thursday, December 29, 2011

Safar Jindgi ka

humne unke bharose duniya chhod di.unhone hume chhod diya..
duniya ki itni bheed me akela kar tod diya..

Lakho prayatn kiye humne girkar sambhalne ke..
kuch unko bhula dene ke kuch khud bhool jane ke..

mushkilein nahi itni aasan..safar abhi adhoora hai..
kaise karu shuruat hona kya ye pura hai..?

diya hai usne mauka fir se galtiya dohrane ka..
bhugat chuke hai saja jarurat se jyada sajane ka..

yado ka safar nahi hai chhota..jindgiya chhoti pad jayengi..
aapka ehsaas aur humari bhaavnayein kya kabhi fir se mil payengi..

milne aur milane wale hum kaun hote hai..
ho agar khuda ki iccha to koi na gam me rote hai..

seekha hai jeevan ka saar hasna aur hasana hai..
raah me hai baadhayein saathi unhe bhul jana hai..

hasi hai jeene ka maadhyam use turant apnaao..
gum me yu dubokar jeevan na kabhi bitao..

phle bhi mile the aage bhi milenge.
ye to hai jeevan ka silsila wo bhi hsenge hum bhi hsenge..






No comments:

Post a Comment